Monday, July 5, 2010

FANAA SONGS LYRICS








Music Director: Jatin-Lalit
Lyrics:Prasoon Joshi
Year:2006
Director:Kunal Kohli


MERE HATH MEIN.......



mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho - 2

tu jo paas ho phir kya yeh jahaan tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

tu jo paas ho phir kya yeh jahaan tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

tere dil mein meri saanson ko panaa mil jaaye

tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye

jitne paas hain khushbu saans ke

jitne paas hothon ke sargam

jaise saath hain karvat yaad ke

jaise saath baahon ke sangam

jitne paas paas khwaabon ke nazar

utni paas tu rehna hamsafar

tu jo paas ho phir kya yeh jahaan

tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

rone de aaj hamko do aankhen sujaane de

baahon mein lene de aur khud ko bheeg jaane de

hain jo seene mein qaid dariya woh choot jaayega

hain itna dard ke tera daaman bheeg jaayega

jitne paas paas dhadkan ke hain raaz

jitne paas bundon ke baadal

jaise ?sahaq? sa chanda ke hain raat

jitne paas nainon ke kaajal

jitne paas paas saagar ke lehar

utne paas tu rehna hamsafar

tu jo paas ho phir kya yeh jahaan

tere pyar mein ho jaaun fanaa

mere haath mein tera haath ho saari jannatein mere saath ho

adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham

magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham



SUBHAAN ALLAH.......




hmm hmm hmm hmmm la la la

hey hey hey hey ah ha

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah

valle valle

valle valle

valle valle

chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata

sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain tujhmein fanaa

chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata

sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

valle valle

valle valle

teri adaa bhi hain jhonke wali chhu ke gujar jaane de

teri lachak hain ke jaise daali dil mein utar jaane de

aaja baahon mein karke bahana hona hain tujhmein fanaa

chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata

sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah

hain jo iraaden bata doon tumko sharma hi jaaogi tum

dhadakanen jo suna doon tumko ghabraa hi jaaogi tum

hamko aata nahi hain chhupana hona hain tujhmein fanaa

chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata

sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain tujhmein fanaa



CHANDA CHAMKE.......



chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaate chini chatori chinikhor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

kitna mushkil yeh gaana zara gaake dikhana

chanda chini chamke chaate chaukanna chikhe chor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

khadaksingh ke khadakne se khadakti hain khidkiyaan

khidkiyon ke khadakne se khadakta hain khadaksingh

khadaksingh ke khadakne se khadakti hain khidkiyaan

khidkiyon ke khadakne se khadakta hain khadaksingh

kitna mushkil yeh gaana zara gaake dikhana

khadak khadak ke khadake khidki khadaksingh ka khadke zor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

pakke ped par paka papita paka ped ya paka papita

pake ped ko pakde pinku pinku pakde paka papita

pakke ped par paka papita pakda pinki paki ka kapda kapda

pakke ped par paka papita paka ped ya paka papita

pake ped ko pakde pinku pinku pakde paka papita

kitna mushkil yeh gaana zara gaake dikhana

pakke ped par paka papita paka ped ya paka papita

pake ped ko pakde pinku pinku pakde paka papita

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor

kitna mushkil yeh gaana zara gaake dikhana

chanda chini chamke chaate chaukanna chikhe chor

chanda chamke cham cham chikhen chaukanna chor

chiti chaati chini chatori chinikhor



DEKHO NA.......




yeh saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si

yeh saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si

dekho na dekho na

dekho na dekho na

hawa kuchh haule haule zubaan se kya kuchh bole

kyon duuri hain ab darmayaan

dekho na dekho na

dekho na dekho na

phir na hawayen hogi itani besharam

phir na dag mag dag mag honge yeh kadam

haa saawan yeh seedha nahi khufia bada

kuchh toh baraste hue keh raha

samjho na samjho na

samjho na samjho na

hawa kuchh haule haule zubaan se kya kuchh bole

kyon duuri hain ab darmayaan

dekho na dekho na

dekho na dekho na

jugnu jaise chahat dekho jale mujhe

meethi si mushkil hain koi kya kare

hmm hothon ki arzi aaise thukraaon na

saanson ki marzi ko jhuthlaaon na

chhuu lo na chhu lo na

chhuu lo na chhu lo

hawa kuchh haule haule zubaan se kya kuchh bole

na duuri hain ab darmayaan

dekho na dekho na....

dekho na hmm hmm hmm

hmm hmm hmm dekho



DES RANGEELA.......




ho ho o o o o ....

yahaan har kadam kadam pe dharti badle rang

yahaan ki boli mein rangoli saat rang

yahaan har kadam kadam pe dharti badle rang

yahaan ki boli mein rangoli saat rang

dhaani pagdi pehne mausam hain

neeli chaadar taane ambar hain

nadi sunehri hara samundar hain re sajila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

ho ho o o o o ....

sindoori gaalon wala suraj jo kare thitholi

sharmeelen kheton ko dhank de chunar peeli peeli

ghoonghat mein rang panghat mein rang cham cham chamkila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

ho ho o o o o ....

?abil? gulaal se chehre hain yahaan mastaanon ki toli

rang haseen mein rang khushi mein rishten jaise holi

baaton mein rang yaadon mein rang rang rang rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

hey dholaaa

re mharo dhola re

ishq ka rang yahaan par gehraa chadh ke kabhi na utre

sachhe pyar ka thehra sa rang chhalke par na bikhre

rang adaa mein rang haya mein hain rasila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

yahaan har kadam kadam pe dharti badle rang

yahaan ki boli mein rangoli saat rang

dhaani pagdi pehne mausam hain

neeli chaadar taane ambar hain

nadi sunehri hara samundar hain re sajila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

ho rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

des rangila rangila des mera rangila

No comments:

Post a Comment